http://hindisms.org/wp-content/uploads/2011/01/Emotional-Shayari-298x300.jpg
**
Humein Alwida kehtay huwe
Humein chor kar jaatay huwe
Woh shaks ghamgeen bahut thaa
Hamara bhi dil bechain bahut thaa
Sawaal tau bahut thay us ke paas
Per alfaaz nahe thay mere paas
Lab pe aatay aatay hamari kuch batain reh gaen
Kuch soch ke un-kahi kuch khwahishain reh gaen
Bhool huwi hum se hum ussay jaan gaye
Na chaahatay huwe bhi pehchaan gaye
Kaam ab asaan nahe ussay bhulaanay ka
Seekh gaya hai woh hunar humein rulanay ka
Ghar kar gaya hai ab woh meri duaoon mein
Alwida keh gaya ek ajnabi beech raahoon mein …
**