:salam: dostoon,
*Abhi kuch hi din pehlay ki baat hai ke ek khushi ka sa samaan thaa, har taraf yeh shor thaa ke Maah-e-Ramadan aa raha hai, aur phir dekhte hi dekhte ibaadatoon ka zauq barhta gaya, Sehri aur Iftar ki mehfilain sajne lageen, Taraweeh ka silsila …
Aah … Ab yeh rehmatoon bhara maheena hum se rukhsat hone ko hai … Afsoos ke hum Rab ke mehmaan is maheenay ka ehteraam na kar sake, hum ne tau sahi tarah se ibaadat bhi nahe keen … Ay Maah-e-Ramadan hum se raazi ho kar jaana, hum se naraaz mat hona … ![]()
Hum nahe jantay ke aglay baras hamari zindagi mein dobara is mubarak maheenay ko paana kaatib-e-taqdeer ne likha hai ya nahe … *
http://www.urdumela.com/signaturepics/sigpic15_5.gif
***“ALWIDA ALWIDA MAH-E-RAMZAN”
YA ALLAH…
Hum Ne Jo Rozay Rakhay,
Jo Ebadatain Ki Aur Jo Namazain Parhin,
YA ALLAH Qabool Karna.
Aur Jo Hum Se Galatiyan Huen,
YA ALLAH Unhe Darguzar Kar Dena,
Aur Hum Sab Ko Mauf Kar Dena,
Hum Sab Ki Qayamat Ke Din Maghfirat Farmana!!*
**
*
Alwida Alwida Alvida Hai,
Mah e Ramzan bas alwada hai.
Dil teray aanay say motbar thay,
Noor mein dubay shaam o sehar they.
Teray anay say dil ro raha hai,
Mah e Ramzan bas alwada hai.
Alwada Alwida Alvada Hai, Mah e Ramazan bass alwida hai.
Sehri iftar qir’at tarawi,
Aur azaan e namazein o tasbeeh.
Yeh saman noori tujh say mila hai,
Mah e Ramzan bas alwada hai.
Alwada Alwida Alvada Hai, Mahe Ramadan bass alwida hai.
Rehmatoon ka tu pegham laya,
barkatoon ka tu inaam laya.
Rutba aala o afzal tera hai,
Mah e Ramzan bas alwada hai.
Alwada Alwida Alvida Hai, Mah e Ramadhan bas alwida hai.
Jaam rehmat kay tunay pilaye,
Gul muradoon kay tuney khilaye.
Tu juda hum say ab ho raha hai,
Mah e Ramzan bas alwada hai.
Alwada Alwida Alvada Hai, Mah e Ramdhan bas alwida hai.
Humko baykal tu paye ga kab tak,
Gar rahe zinda aglay baras tak.
Phir milein gay jo huqmay khuda hai
Mah e Ramzan bas alwada hai.
Alwada Alwida Alvada Hai, Mah e Ramadhaan bass alwida hai.
Chal diya hai tu jo Rab ki janib,
Ahl e Imaan kay purnam hain Qalib.
Qalb e Ishrat bhi gham say bhara hai,
Mah e Ramzan bas alwada hai.
Alwada Alwida Alvida Hai, Mah e Ramazaan bass alwida hai.
Humko bekal tu payega tab tak
Gar rahay zinda agle baras tak.
Phir milengay jo huqm e Khuda hai
Mah e Ramzan bas alwada hai.
Alwada Alwida Alvada Hai, Mah e Ramzan bas alwida hai.*
Friends, you all are invited to post/share some words on ‘Alwida Ramadan’