Re: Alternate words (check your vocabulary)
aandhii meN gard kaa shaamil honaa zaroorii hai jab k toofaan sirf hawaaoN kaa bhii ho saktaa hai aur paanii kaa bhii.
aandhii = bhawanDar, bhakkaR, gard o Ghubaar toofaan kaa angrezii meN cyclone, hurricane, tornado, blizzard vagHairah to haiN magar Urdu meN aur kuchh yaad to nahiiN aa rahaa.