~ Almeyya ~

Zindagi mein kuch lamhay aise bhi aatay hain jab hum khud se haar jaatay hain ... koi hamaari zindagi mein khushiyaan lekar aata hai aur phir dukh dekar chala jaata hai aur uski yaadain humein har pal, har saans, har qadam pareshaan keye rakhti hain ... maana ke yeh zaroori nahee ke woh hamare jazbaat ko samajh paata magar yeh zaroori hai ke woh hamare jazbaat ki qadar karta ... rothne manaane mein hi hum ne ussay kho diya ... per aisa kyon hota hai ke hum us se keh nahee patay ke humein maaf kar do aur laut aao ... laut aoo ... laut aaoo ... kyon nahee keh patay hum ... kyon yeh masoom jazbay zid ke agay har kar ghutne taik dete hain ... kyon ... ???

Mera intekhaab Saeed Wasiq ki yeh ghazal, jo is masoom jazbay ki akaasi karti hai jo … bahut tang karta hai … !


Hijar mein khoon rulaatay ho, kahaan hotay ho
Laut kar kyon nahee aatay ho, kahaan hotay ho

Jab bhi milta hai koi shaks baharoon jaisa
Mujh ko tum kaise bhulaatay ho, kahaan hotay ho

Yaad aati hai akele mein tumhaari neendain
Kis tarah khud ko sulaatay ho, kahaan hotay ho

Mujh se bichray ho tu mehboob-e-nazar ho kis ke
Aaj kal kis ko manaatay ho, kahaan hotay ho

Shab ki tanhaee mein aksar yeh khayaal aata hai
Apne dukh kis ko sunaatay ho, kahaan hotay ho

Sard raatoon mein tumhein kaise bhula sakta hoon
Aag si dil mein lagaatay ho, kahaan hotay ho

Tum tu khushiyoon ki rafaqat ke leye bhichray thay
Ab agar ashk bahaatay ho, kahaan hotay ho

Shehar ke loug bhi ‘Wasiq’ yehi kartay hain sawaal
Ab bahut kam nazar aatay ho, kahaan hotay ho …***

Hijar mein khoon rulaatay ho, kahaan hotay ho
Laut kar kyon nahee aatay ho, kahaan hotay ho

Jab bhi milta hai koi shaks baharoon jaisa
Mujh ko tum kaise bhulaatay ho, kahaan hotay ho

Yaad aati hai akele mein tumhaari neendain
Kis tarah khud ko sulaatay ho, kahaan hotay ho

Mujh se bichray ho tu mehboob-e-nazar ho kis ke
Aaj kal kis ko manaatay ho, kahaan hotay ho

Shab ki tanhaee mein aksar yeh khayaal aata hai
Apne dukh kis ko sunaatay ho, kahaan hotay ho

Sard raatoon mein tumhein kaise bhula sakta hoon
Aag si dil mein lagaatay ho, kahaan hotay ho

Tum tu khushiyoon ki rafaqat ke leye bhichray thay
Ab agar ashk bahaatay ho, kahaan hotay ho

Shehar ke loug bhi 'Wasiq' yehi kartay hain sawaal
Ab bahut kam nazar aatay ho, kahaan hotay ho ...

i was looking for this one for a long time thanks for sharing it

Dono hi bohat achi haiN.....

Both r sweet :k:

:flower2:

Nice :k: