Re: Allama Muhammad Yousaf Gabreil (RA)
Sehar ko tere tasawar me sham karta hon
kise khabar k ye kiya ehtmam karta hon
Sehar ko de ka tasawar me teragi ka fasoon
kisi ki zulf k saiy me sham karta hon
zara falak k jharokay me akay jalwa day
k zindagi ka fasana tamam karta hon
na may se tere talaq na may kaday se gharaz
k apne dil k safeenay ko jam karta hon
tere zameer pe ha parda ankh ka warna
zameer e dard me kho kar kalam karta hon
maqam e tooba o sidra bhe rashk karte hain
kabi jo zameen me thak kar maqam karta hon
ha justago k milay astan lehad k liye
tere gali me yahi ehtmam karta hon
zamana aqal ki wadi me kho gaya lekin
hanooz e manzil e dil me kayam karta hon
gharz nahi ha kuch namaish ki kuch magar gabriel
sarshak e khoon me do chashmo ko jam karta hon
(Allama Muhammad Yousaf Gabriel)
Complete poem hereAllama Urdu Mazameen