Allama Muhammad Yousaf Gabreil (RA)

Allama Muhammad Yousaf Gabriel a Renowned Scholar,Poet,Scientist,Relegious Nukta dan,Economist,Politics Expert…etc Unki Shairi me paya janay wala dard samajhne aur parakhnay k laiq ha

Re: Allama Muhammad Yousaf Gabreil (RA)

Sehar ko tere tasawar me sham karta hon
kise khabar k ye kiya ehtmam karta hon

Sehar ko de ka tasawar me teragi ka fasoon
kisi ki zulf k saiy me sham karta hon

zara falak k jharokay me akay jalwa day
k zindagi ka fasana tamam karta hon

na may se tere talaq na may kaday se gharaz
k apne dil k safeenay ko jam karta hon

tere zameer pe ha parda ankh ka warna
zameer e dard me kho kar kalam karta hon

maqam e tooba o sidra bhe rashk karte hain
kabi jo zameen me thak kar maqam karta hon

ha justago k milay astan lehad k liye
tere gali me yahi ehtmam karta hon

zamana aqal ki wadi me kho gaya lekin
hanooz e manzil e dil me kayam karta hon

gharz nahi ha kuch namaish ki kuch magar gabriel
sarshak e khoon me do chashmo ko jam karta hon

(Allama Muhammad Yousaf Gabriel)

Complete poem hereAllama Urdu Mazameen

Re: Allama Muhammad Yousaf Gabreil (RA)

Allaj is ishaq ka aa charagar hota to gham kiya tha
koi is dard ka darman agar hota to gham kiya tha

ho washshafi he tha kafi k bemar e Muhabbat hon
Tabib is Raz se gar bakhabar hota to gham kiya tha

Mera kehna na mana khud lute auro ko lutwaya
safar itna agar ye be khattar hota to gham kiya tha

nazar jam o sabo par aa dil saqi rahee sab kii
bhari mehfal me koi deeda war hota to kiya tha

Fannay lazzat e zari payyam e marg thee goya
ye naala bhe agar waqt e sehar hota to gham kiya tha

machalta ha junoon ulta hazoor e yar se gabriel
jo kam deedar se dard e jigar hota to gham kiya tha

Allama Muhammad Yousaf Gabriel
For Full Poem visit Allama Urdu Mazameen

A Arz e Kashmir A Arz e Kashmir
Gham ki tasweer hain khamosh hain Gulzar tere
Kis k matam me kaffan posh hain bazar tere
kis ki tadbeer ki takhleeq hain Azar tere
gham o alam me doobi hoi ha tasweer tere
kab palat ti ha jigar pash ye taqdeer tere
chak ha dast e zamana se gareban tera
astan kab se hoa gor e ghariban tera
ja guza n dil me hoa khauf e naqeeban tera
khar e dil ban k chubhe rang e raqeeba n tera

Read Full Poem at Allama Urdu Mazameen
(Allama Muhammad YOusaf Gabriel (RA) )

very nice :k:

Re: Allama Muhammad Yousaf Gabreil (RA)

Agar aa ankh ha tujh ko tammana deed e jana ki
to itna ro k beh jaye sayahi dagh e isya n ki
karo me gham zada kyo kar bayan tafseel e nuqsan ki
khayall e mot se taskeen ho jab qalb e pareshan ki
pareshan zulf wo bhage hoay aye khabar lene ko
hoi kaise khabar unko mere hal e pareshan ki
kaha shoq e wasal ab urh chukee hain dajhiya dil ki
fakat ik reh gai hasrat mere arman k arman ki
nigah e ishq se ghaib hain mojodat e alam k
k ankhen ho gai yousaf k sadqe Peer e kina 'an ki
gaya dor ab ronay ka sakoot e neem wehshi me
nami afrat e hidat ne ura dee chashm e girya ki
baras jati hain sawan ki ghatain soorat e rehmat
zara ham inteha to azmain abar e isyan ki

(Allama Muhammad Yousaf Gabriel RA)
Read this poem here Allama Urdu Mazameen

Re: Allama Muhammad Yousaf Gabreil (RA)

:sleep2: