Jin ke angan mein Ameeri ka shajar lagta hai,
Un ka her aaib bhi zamany ko hunar lagta hai…
Re: Allama Iqbal
Zahid sharab peene de masjid mein beth kar,
Yaa woh jagha bata jahan Khuda nahin..
*(Mirza Ghalib)*
Masjid khuda ka ghar hai, peeney ki jagha nahin,
Kaafir ke dil mein ja, Wahan khudaa nahin..
*(Allama Iqbal)*
Kaafir ke dil se aya hon mein yeh dekh kar,
Khuda maujood hai wahan, Par usey pata nahin..
*(Ahmad Faraz)*
Re: Allama Iqbal
DaiKh Kaisi Qayamat Si Barpa Hui Hai Aashiyanon Pay IQbaL…!
Jo Lahoo Se Tameer Huye Thay, Paani Se Bah Gaye…!
Re: Allama Iqbal
Nice :k:
Re: Allama Iqbal
Nice Sharing
Re: Allama Iqbal
*Taskeen na ho jis se wo raaz badal dalo
Jo raaz na rakh paye hamraaz badal dalo
*
**
Tum ne b suni ho gi bari aam kahawat hy
Anjam ka jo ho khatra aghaz badal dalo **
**
Pur-soz dilon ko jo muskan na de paye
Sur hi na mile jis mai wo saaz badal dalo **
**
Dushman k iradon ko hy zahir agar karna
Tum khel wohi khelo andaz badal dalo **
**
Ay dost karo himat kuch door sawera hy
Agar chahte ho manzil tu parwaaz badal dalo….**