Lab pay aati hai dua bun kai tamanna meri,
Zindagi Shamma ki soorat ho Khudaya meri,
Door duniya ka meray dum say andhera ho jay,
Har jaga meray chamaknay sai ujaala ho jay,
Ho meray dum say yunhi meray watan ki zeenat,
Jis tarha phool say hoti hai chaman ki zeenat,
Zindagi ho meri parwanay ki soorat ya Rab!,
Ilm ki shama say ho mujh ko mohabbat ya Rab!,
Ho mera kaam ghareebon ki himayat karna,
Dard mandon say, zaeefon say mohabbat karna,
Meray Allah! Buraai say bachana mujh ko,
Naik jo raah ho us reh pay chalana mujh ko.
Aaj Allama Iqbal ki 126weeN yom-e-paidaaish hai…Allah :swt: is fikar andoz insaan ko Jannat naseeb karay, Ameen…