Allah say panah mangoo

Assalamu alaikum.
tu yai thread mai es liyai post kar raha hoon, k aaj Allah nay muj par raham kia hai, yani k muje marz de kar muj par raham kia hai.
aap soch rahay hon gay, k zuhaib pagal ho gaya hai, k marz milnay par khosh ho raha hai,aur humay bata raha hai, haan mai khosh hoon.
k Allah nay muje marz dia,
***howa yai hai aaj k mai pc par cricket game khail raha tha k yak dum muje koch honay lag gaya, aur meri saansay rokany si lag gaee, jesay ***
***meri mout ka time a gaya hai,aur meri be chani barhnay lagi, aur jisam mai shadeed dard honay laga, mai nay game close ki aur ja kar sofa ***
par dharam say gir gaya, magar tabiyat aur bigarty gaee, aur muje laga k aaj mai Allah k pass poncha he poncha,halat kharab he hoty gaee, aur
mai na ronay wala roo para aur wahaan say uth kar aik konay mai ja kar ronay laga, ta k meri halat koi dekh na lay aur pochay na k kia howa hai.
mai rota raha aur us time muje apnay gunnah yaad aa gaey, mai aur zoor say ronay laga, apnay gunnahoon ko yaad kar k, k mai nay Allah ki na farmaniyaan
ki hain, tu yai usi ka nateeja hai, mai rota raha aur Allah ko yaad karta raha aur pir apnay gunnahoon ko yaad kia, k kab kab mai nay kia kia tha.
akhir kaar muj say raha na gaya shadeed dard ki waja say,aur mai nay rotay howay Allah say maafi mangna shuroo kar di. aur apnay har gunnahooon par Allah say

maafi managi, k muje baksh day, k mai he tera mujrim hon, k mai tuje bhool gaya tha, apnay gunnahon mai mast tha, tera lakh lakh dafa shukar hai k tu nay muje marz dia
***marz dey kar tu nay muj par raham kia, aik hadees mai hai k Allah jab apnay banday ko koi jisamani takeel deta hai tu us k gunnahon ko maaf kar dena chata hai, us ko pak ***
kar dena chata hai, tu aik logoon us time wa willa na kia karoo, aur Allah say maafi manga karo, aur saber kia karo marz ki halat mai. tu buss muje vo hadees yaad aa gaee.

aur mai nay dua ki k ya Allah marz denay wala tu hai tu saber be denay wala tu he hai, buss muje es marz par saber atta kar, aur muje baksh day, baksh day muje,
aap yakeen karay ya na karay 2 ya 3 hour k baad mai aab aap k samnay beth kar apni kahani write kar raha hon, warna assi halat thi k abe sans roki aur rooh parwaaz kar gaee.
magar Allah ka lakh lakh dafa shukar hai k us nay muje jaga dia, muje yaad dila dia k Allah ko bholnay walay jaag, aur gunnahon say baaz aa , muje us time yai kalma yaad aa gaya

LA ILLAHA ILLA ANTA SUBHA NAKA INNI KUNTUM MINAZ ZALEE MEEN.
aur mai nay Allah say sab chotay baray gunnahoon ki maafi mangi aur aab Allah ka shukar hai k mai bilkol theek thaak aap k samnay hoon, yai sab kahnay ka maksad yai hai k us time say
***Allah ki panah mangoo k jab koi dua nahe suni jait gi, jab koi maafi kabool nahe ki jaiy gi, jab sara hisaab kitaab samnay ho ga, raham kar ya Allah raham kar muj par be aur apnay bandoon ***
***par be,yai sab biyaan karnay ka maksad mera yai nahe hai k apnay shaan biyaan karon, maksad yai hai k Allah kitna arha mar rahee meen hai,k koch dare pahlay marz dia aur pir apnay banday ki ***
aho zaar par us ko sakoon dey dia, us ko rahat dey di.
***bus akhir mai dua karta hoon, k Allah muje aur aap sab ko apna banda bana lay, apnay un bandoon mai shamil kar lay, jin say Allah raazi howa hai,jin say Allah khosh howa hai, buss Allah hum sab ko ***
apnay khass bandon mai shamil kar lay, aur un bandoon mai na karay,jin say Allah naraaz howa, jin say Allah ghusa howa,
AMEEN INSHALLAH.


:slight_smile: