Allah Ke Gharane Mein

kya kami dekhi tumne apni deewani mein
sare aam badnam kiya mujhe zamane mein

jiska naam likha hum ne dil ki deewaron pe,
usne hi kasar na chhodi mujhe bhoolane mein

jo payal ki jhankaren thi mere tarane mein
sharab wahi khanak sunati hai ab paimane min

tere baad maut ko hi chaha dil ne toot kar,
dekh zindgi tabah kar dali apni mahkhane mein

kabhi sota tha teri zulfon ke saaye mein
ab maut ki god hai mere sirhane mein

wo sangdil hai na aaegi mujhe dekhne yaron,
ab der mat karo meri mayyat ko dafnane mein

kyon rote ho logon aaj to khushi ka din hai,
shamil hone ja raha hoon allah ke gharane mein…


Re: Allah Ke Gharane Mein

hmmmmm:)

Re: Allah Ke Gharane Mein

:k: