Assalam O Alaikum !!
Main is GUPSHUP FORUM ko chor raha hoon, Agar koi ghaltee ho gaee ho to maaf kardeejeayga, Main jab is site per shuruh main aya tha to mainey nahin socha tha aisa waqt bhi aayga. Allah SWT ki kasam mainey jo bhi religion say mutalliq posts likheen hain woh sirf is liay key aap logon ko asal deen mallom ho, main yeh nahin kehta key main koi alim hoon, lakin jitna kuch mujhay mallom tha mainey batanay ki koshish ki. Lakin mere har baat ka ghalat matlab lia gaya, Quran ki ayat ka ghalat tarjuma kia gaya, ahadith ko zaeef karar dia gaya, aur is key badlay main mujhay jhoota, kafir, aur pata nahin kia kia kaha gaya J. Allah SWT ki kasam jiss key qabzay main mere jaan hay, mainey kabhi bhi kisi bhi post main koi zaeef hadith bian nahin kee, kisi ayat ka ghalat tarjuma nahin kia, aur main jo aqayeed yahan bian kerta tha woh aqeeda baray baray ulama key hain, jinhoon ney, Quran, sunnah, fiqah ka mutalia kia hay. Misal key tor per YA lafz ka istimaal, Mazaroon per khawateen ka na jana, Mazaroon per ja ker un ko vaseela banana. Yeh maslay lagtay to bohot chotay hain, lakin in the aap key iman per bohot bara asar parta hay. Neways mujhay kisi say koi shikayat nahin.
Bas eik akhri guzarish hay ISLAM, QURAN AUR HADITH HAY. QURAN AAP HADITH KEY BAGHAIR NAHIN SAMAGH SAKTAY. JO SAHIH AHADITH MOJOOD HAIN US PER AAP QURAN KI TARAH YAQEEN KERSAKTAY HAIN, KIYONKEY SAHIH HADITH WOHEE HOTEE HAY JO QURAN KEY KHILAAF NA HO, AUR JISS KI RIWAYAT MAZBOOT HO. E.G. SAHIH BUKHARI AND SAHIH MUSLIM.
Once again, kisi ka dil mere wajah say dukha ho to maafi. Aur Allah SWT say dua hay key woh mujhay aur aap ko Islam ko samaghney aur Islam per chalney ki taufeeq day (AMEEN).
Wa ma alaina illal balagh
Jazakumullah Khair / Assalam O Alaikum.