Allah bless Pakistan

Re: Allah bless Pakistan

Ye daagh daagh ujaala yeh shab gazeeda sehar
wuh intezaar tha jiska yeh wuh sehar tou nahi
yeh wuh sehar tou nahi jis ki arzoo ley kar
chaley thay yaar ke mil jaaey gi kahin na kahin
falak kay dasht mein taaron ki aakhri manzil
kahi tou hoga shab-e-sust moj ka sahil
kahin tou ja key rukay ga safeena-e-ghum-edil

jawaan lahoo ki pur-asraar shahraahon sey
chaley jo yaar tou daaman pe kitnay haath parey
dayar--husn ki besabr khaab-gaahon sey
pukarti rahin bahein badan bulatey rahey
buhat azeez theen lakin rukh-e-sehar ki lagan
buhat qareen tha haseenan-e-noor ka daaman
sabak sabak thi tamana dabi dabi thi thakan

suna hay ho bhi chuka hay faraq-e-zulmat-onoor
suna hay ho bhi chuka hay wasaal-e-manzil-ogaam
badal chuka hay buhat ahal-e-dard ka dastoor
nashaat-e-wasl halaal-o azaab-e-hijr haraam
jigar ki aag nazar ki umang dil ki jalan
kisi pe chara-e- hijraan ka kuch asar hi nahi
kahan sey aai nigare-subha kidher ko gai
abhi charaagh-e-sar-e reh ko kuch khabar hi nahi
abhi garaani-e-shab mein kami nahi aai
najaat-e-deeda-o-dil ki ghari nahi aai
chaley chalo keh wuh manzil abhi nahi aai

Faiz wrote this in Daste-saba
Subh-e-azaadi August 1947

so