Happy Independence day to all of you
Yeh watan tumhara hey tumho pasban isskay
Yeh watan tumhara hay tumho naghma khawan isskay
Happy Independence day to all of you
Yeh watan tumhara hey tumho pasban isskay
Yeh watan tumhara hay tumho naghma khawan isskay
Re: Allah bless Pakistan
Happy Independence day to you too.:)
Re: Allah bless Pakistan
Reformated!
Happy Independence day to all of you
Yeh watan tumhara hey tumho pasban isskay
Yeh watan tumhara hay tumho naghma khawan isskay
Is chaman kay phoolon par rang-oaab tumsay hay<>
Iss zameen ka har zara aftab tum sey hay
Yeh faza tumhari hay behro bar tumharey hein
Kehkashan kay yeh jaaley rehguzar tumharey hein
yeh watan tumhara hay tumho paasbaan isskay
Iss zameen ki mitti mein khoon hay shaheedon ka
Arz-e-pak markaz hay qom ki umeedon ka
Nazm-o zabt o apna meer-e-kaarwaan jano
waqt kay andheron mein apna aap pehchaano
yeh watan tumhara hay tum ho paasbaan iskay
Yeh zameen muqadas hay maan kay pyar ki surat
iss zameen mein tum sab ho barg-o-baar i surat
Dekhna gawara mat dolat-e-yaqeen logo
Yeh watan amanat hay aur tm ameen logo
Yeh watan tumhara hay tumho paasbaan isskay
Meer-e-karwan hum thay rooh-e-kaarwan tum ho
Hum tou sirf unwan thay asl daastan tum ho
Nafraton kay darwazey khud pe band hi rakhna
Is watan kay parcham ko sar-bulamd hi rakhna
yeh watan tumhara hay tum ho paasbaan iskay
yeh watan tumhara hay..........
Re: Allah bless Pakistan
Thanks GT !
Though i am no more that much patriotic now, but still khushi hooti hay on these special days… ![]()
Re: Allah bless Pakistan
Ye daagh daagh ujaala yeh shab gazeeda sehar
wuh intezaar tha jiska yeh wuh sehar tou nahi
yeh wuh sehar tou nahi jis ki arzoo ley kar
chaley thay yaar ke mil jaaey gi kahin na kahin
falak kay dasht mein taaron ki aakhri manzil
kahi tou hoga shab-e-sust moj ka sahil
kahin tou ja key rukay ga safeena-e-ghum-edil
jawaan lahoo ki pur-asraar shahraahon sey
chaley jo yaar tou daaman pe kitnay haath parey
dayar--husn ki besabr khaab-gaahon sey
pukarti rahin bahein badan bulatey rahey
buhat azeez theen lakin rukh-e-sehar ki lagan
buhat qareen tha haseenan-e-noor ka daaman
sabak sabak thi tamana dabi dabi thi thakan
suna hay ho bhi chuka hay faraq-e-zulmat-onoor
suna hay ho bhi chuka hay wasaal-e-manzil-ogaam
badal chuka hay buhat ahal-e-dard ka dastoor
nashaat-e-wasl halaal-o azaab-e-hijr haraam
jigar ki aag nazar ki umang dil ki jalan
kisi pe chara-e- hijraan ka kuch asar hi nahi
kahan sey aai nigare-subha kidher ko gai
abhi charaagh-e-sar-e reh ko kuch khabar hi nahi
abhi garaani-e-shab mein kami nahi aai
najaat-e-deeda-o-dil ki ghari nahi aai
chaley chalo keh wuh manzil abhi nahi aai
Faiz wrote this in Daste-saba
Subh-e-azaadi August 1947