14535.AliHaider-Purani_Jeans
*Ali Haider - Purani Jeans
Purani jeans
aur guitar
Mohalle ki vo chhat
Aur mere yaar
Vo raaton ko
jaagna
Subah ghar jaana
Kood ke deewar
Vo cigarette peena
Gali mein jaake
Wo karna daanton ko
Ghadi ghadi saaf
Pahunchna college
hamesha late
Vo kehna sir ka
“Get out from the class!”
Vo bahar jaake
hamesha kehna
Yahan ka system
Hi hai kharaab
Vo jaake canteen mein
Table bajaake
Vo gaane gaana
Yaaron ke saath
Bas yaadein
Yaadein
Yaadein reh jaati hain
Kuchh chhoti
Chhoti
Baatein reh jaati hain
Bas yaadein..
Vo papa ka daantna
Vo kehna mummy ka
Chorein ji aap
Tumhein to bas
nazar aata hain
Jahan mein beta
Mera hi kharaab
Vo dil mein sochna
Kar ke kuch dikha dein
Vo karna planning
Roz nayi yaar
Ladakpan ka
vo pehla pyaar
Vo likhna haathon pe
A plus R
Vo khidki se
jhaankna
Vo likhna letter
Unhein baar baar
Vo dena tohfe mein
Sone ki baaliyan
Vo lena doston se
Paise udhaar
Bas yaadein
Yaadein
Yaadein reh jaati hain
Kuchh chhoti
Chhoti
Baatein reh jaati hain
Bas yaadein..
Aisa yaadon ka mausam chala
Bhoolta hi
nahin dil mera
Kahan meri jeans
aur guitar
Mohalle ki vo chhat
Aur mere yaar
Vo raaton ko
jaagna
Subah ghar jaana
Kood ke deewar
Purani jeans
Aur guitar..