**Alam tara ka’eefa fa’aala Rabb-u ka?
**(Keya tum nahi daikhtay teray Rab nay keya kiya?)
Daikh rahi hain bay bas aankhain yak tarfa tamasha ruswayi ka
Shayad keh zamana aa pohncha hai qaatil say dast aazmayi ka
Woh jaanch raha hai dastak daikar meri neend ki gehrayi ko
Veto kay haq say tord raha hai meray haqq-e shunwayi ko
Utho is din say pehlay jaago
Jab chhat marqad ban jaye gi
Aur teray ghar ki tasweerain T.V. par chalayin jayen gi
[RIGHT]Shan. 08/08/2006
[/RIGHT]