**Aksar shab-e-tanhai main 'Kuch dair pehlay neend se
Guzri hui dil-chuspian 'Beetay huay din aish kay
Buntay hain shama-e-zindagi 'Aur daaltay hain Roshni
Meray dil-e-sud chaak per
Woh bachpan aur wo saadgi 'Woh rona woh hansna kabhi
Phir woh jawani kay mazay 'Woh dil lagi woh qehqahay
Woh ishq woh ehd-e-wafa 'Woh wada or woh shukriya
Woh lazzat-e-bazm-e-tarb 'Yaad aati hain ik ik sab
Dil ka kanwal jo roz-o-shab 'Rehta shagufta tha so ab
Us ka yeh abtar haal hai 'Ik sabza-e-pamaal hai
Ik phool kumhlaya hua 'Sookha hua bikhra hua
Ronda para hai khaaak per
Yun hi shab-e-tanhai main 'Kuch dair pehlay neend say
Guzri hui na-kaamiyan 'Beetay huay din ranj kay
Bantay hain shama-e-baykasi 'Aur daltay hain roshni
Un hasraton ki qabr per
Jo aarzooain pehlay theen 'Phir gham say hasrat ban gaein
Gham doston kay faut ka 'Un ki jawan mout ka
Lay daikh sheeshay main meray 'Un hasraton ka khoon hai
Jo gardish-e-ayyam say 'Jo qismat-e-nakaam se
Ya aish-e-ghum anjaam say 'Merg-e-But-e-gulfaam se
Khud meray ghum main mer gaein ’ Kis tarha paaon main hazeen
Qaboo dil-e-baysabr per**