aksar aesa hota hay keh mai kho se jati hooN

aksar aesa hota hay keh mai kho se jati hooN
kuch aese palon ko bhi dohrati hooN
jin se wabasta ho mera rom rom…
kabhi khud ko bhula deti hooN
kabhi khud ko jan na chaahti hooN
kabhi aaiynay kay samnay beth kar
uss se sawal karna chahti hooN
magar har bar…
ik ajnabi awaz …ik ajnabi chehra
dheemay se pass aata hai
or mery dharkanoN ko choo kar
dil may toofan uthata hai
jab choona chahooN maiN uss ko
toa muskara kar ghaayab ho jata hai
na janay kyuN wo aesa karta hai
keh jese pass aanay say darta hai
andheri rahoN say aata hai
or unhi meN kho jata hai
or phir koi aata hai or mujhe
iss sapnay say jagata hai
lekin maiN toa ye hi sochti hooN
keh wo ajnabi chehra
sirf sapnoN mai hi kyuN aata hai???