Aks meraa yeh keh rahaa thaa

Jheel kinaaraY
youN hee kal maiN
TanhaaiyoN maiN
beThaa huaa thaa

udaas paaniyoN maiN
nazraiN jamaaYe
maiN buss youN hee
tukk rahaa thaa

Aks meraa!
kuch muskuraa kaY
mujh saY kuch kuch
keh raha thaa

uss kee baataiN
woh udaas lamhaY
dil yaad-e-maazi saY
dukh rahaa thaa

*Gulaab chehraY pe *
nafrataiN sajaa kar
sargohsiyaaN koi
kar rahaa thaa

Aks meraa!
beetaY dinoN ka
hissaab mujh saY
kar rahaa thaa
faryaad mujh saY
kar rahaa thaa:

*"Sabab kha’moshi ka *
tum jo likhna
tau yeh bhee likhna
*kaisaY guzreeN *
udaas shaamaiN
Tanhaa raataiN

yeh bhee likhna

kaisaY dil ko
kaaT gayeeN theeN
uss kee baataiN

*kaisaY ranjishaiN *
baRhaa gayeeN theeN
anjaaN sa’ataiN
ghalat fehmiyaaN jo
baRhaa gayeeN theeN

yeh bhee likhnaa

*nafratoN kay *
sel-e-rawaaN maiN
*mujh say mera app *
jo churaa gayeeN theeN
woh teri baataiN
*kha’moshiyaaN kiouN *
baRhaa gayeeN theeN

yeh bhee likhnaa

aur jo ho sakaY tau
*kissi ko tum *
*bay wafa *
kabhi naa likhna
*kabhi kissi kay *
jazbaat ko tum
buraa naa kehnaa

***kha’moshiyoN ka ***
sabab jub likhna
*dau lafz **piyaar kaY *
tum zaroor likhna

*buraa samajh kaY *
jo rooTh gaya thaa
*duaaiN uss ko *
tum phir bhee likhna"

Aks meraa!
yeh keh raha thaa
Peghaam-e-Mohabbat
har pa’l daY rahaa thaa


Anwaar Qureshi 3/2/2006

Re: Aks meraa yeh keh rahaa thaa

Boht khoob…:k: :k:

keep it up… :flower1:

Re: Aks meraa yeh keh rahaa thaa

Nice one Anwaar :k: … Achi tehreer hey, especially the makta :k: … keep it up :slight_smile:

Re: Aks meraa yeh keh rahaa thaa

bohet khoub :)
thx 4 sharing )

Re: Aks meraa yeh keh rahaa thaa

Well done. BTW, yeh main nay tou naheen lihki phir yeh green kiyon hai?:confused:

J/K.

Re: Aks meraa yeh keh rahaa thaa

bhut khoob AQ bhai:k:

Re: Aks meraa yeh keh rahaa thaa

Long one but v nice AQ :)

Re: Aks meraa yeh keh rahaa thaa


I guess translation of your reply would be:

"Long one are not considered good BUT this one came out nice."

Re: Aks meraa yeh keh rahaa thaa

Masha’allah BOHUT KHOOB :k: Loved it :hug:

Re: Aks meraa yeh keh rahaa thaa

:k:

Re: Aks meraa yeh keh rahaa thaa

thanks :)

Re: Aks meraa yeh keh rahaa thaa

bohat khoob,

Nadi mein tair raha tha, battoon(ducks) ka ik joRda
Kinaray jheel kay main udas baitha tha.

Re: Aks meraa yeh keh rahaa thaa

:-)

Re: Aks meraa yeh keh rahaa thaa


Tum Naa jaanaY kiss jahaaN maiN kho gaYe :-/

Re: Aks meraa yeh keh rahaa thaa

Very Nice asusual AQ bahi :)

Re: Aks meraa yeh keh rahaa thaa

Tumhari shairi ky ho giay:wink:

Re: Aks meraa yeh keh rahaa thaa

itni puraani baat kaa jawaab abb milaa, aur woh bhee tum saY :smack:

Re: Aks meraa yeh keh rahaa thaa

:chai:

Re: Aks meraa yeh keh rahaa thaa

**Nashukry pan ki inteha hy:naraz:Chalo jwab aya tu sahih mery ilawa kisi ka itna hosla rab nahi ky tumhari bat ka jwab dy:snooty: **

Re: Aks meraa yeh keh rahaa thaa

MashAllah Anwaar bhai… :k: