Aks khusbo hoon, behkarnay say na rokay koi
aur behkar jaoo to mujhe ko na simatay koi
kanp uthte hoon mein yeh souch kay tanhaee mein
meray chehray pe tera naam na pahr kay koi
jis trha khwab meray ho gayay raizay raizay
is trha say na khabhi tot kar behkaray koi
mein to is dun say harasa’n hoon kay jub hokam milay
kohshak pohlon ko kitabo’n mein na rakhay koi
ab to is rah say woh sakhs guzarta bhi nahi
ab kis umeed pe darwazay say jahnkay koi
koi ahat, koi awaz, koi chaap nahi
dil ke galian bare sunsaan hain ayay koi
AQ
3
ab to is rah say woh sakhs guzarta bhi nahi
ab kis umeed pe darwazay say jahnkay koi
:)
Amal
7
Re: ~~Aks khusbo hoon, behkarnay say na rokay koi~~
Very nice ghazal kisi ke:k:
Swera
8
jis trha khwab meray ho gayay raizay raizay
is trha say na khabhi tot kar behkaray koi
wah!
ullujii
14
Re: ~~Aks khusbo hoon, behkarnay say na rokay koi~~
wonderfull 
thanx everyone:flower1: :k:
thanx everyone:flower1: :k: