Akhrii Baat.............

Taluu-e-Shamas-e-Mufaraqat Hai
Puranii Kirnain Naiy Makanoon Kay Anganoun Main Laraz Rahee Hain
Faseel-e-Shaher-e-Wafa Kay Roozan Chamaktay Zarron Say Bhar Gaiy Hain
Gaiy Dinnoun Key Aziz Baatain, Nigar Subhain, Gulab Raatain
Bisaat-e-Dil Bhee Ajeeb Shay Hai, Hazaar Jeetain Hazaar Maatain
Judaiyoun Key Hawain Lamhoun Key Khushk Mattii Uraa Rahee Hain
Gaiee Ruttoun Ka Milal Kub Tak
Chaloo Keh Shakhain Tu Tootii Hain
Chaloo Keh Qabroun Pay Khun Roonay Say
Apni Ankhain Hee PhootTee Hain
Yeh More Voh Hai Jahan Say Mairay Tumharay Rastay Badal Gaiy Hain
Puranii Rahoun Koo Lootna Bhee Humarii Taqadeer Main Nahee
Keh Rastay Bhee Humaray Qadmoun Kay Saath Agay Nikal Gaiy Hain
Taluu-e-Shamas-e-Mufaarqat Hai
Tum Apni Ankhoon Kay Jhilmilatay Howay Sitaroon Ko Maut Day Doo
Gaiee Ruttoun Kay Tamaam Phooloun Tamaam Kharoun Ku Maut day doo
Naiy Safar Ko Hayat Bakhshoo
Keh Pichlee Rahoun Pay Sabt Jitnay Naqsh-e-Paa Hain
Voh Baar Hun Gay
Havaa Urraiy Keh Tum Uraoo

3 Likes

Re: Akhrii Baat…

Gaiy Dinnoun Key Aziz Baatain, Nigar Subhain, Gulab Raatain
Bisaat-e-Dil Bhee Ajeeb Shay Hai, Hazaar Jeetain Hazaar Maatain

very nice…:k:

Puranii Rahoun Koo Lootna Bhee Humarii Tadadeer Main Nahee
isnt it taqdeer?

Re: Akhrii Baat…

Yeah off course it is taqdeer just a typo mistake…waisay bhee samjhdar kay liay Ishara Kafii Hoota hai…or u have proved your self as…:slight_smile:

Re: Akhrii Baat.............

as............???? fill in the dots
ya i know its typo mistake but phir bhi confirmation kar leni chahiyey
meri urdu koi top class ki nahi hai tou socha pooch luun kya pata woh bhi koi word ho jo ab tak meinny na sunna ya parha ho.:)

Re: Akhrii Baat…

as SAMAJHDAR …dots filled in:)

n Thank u for the correction:bb:

Re: Akhrii Baat…

Beeautifulll.. :lajawab:

Re: Akhrii Baat…

Shukriyaa:)

Re: Akhrii Baat.............

yaad aa gaya JJ ka gaya hua gana ''tumahara aur maira naam....''
saddening beauty hindeed

Re: Akhrii Baat.............

v nice

Re: Akhrii Baat…

Excellent Work Muddi :k:

Re: Akhrii Baat.............

[QUOTE]

Gaiee Ruttoun Ka Milal Kub Tak
Chaloo Keh Shakhain Tu Tootii Hain
Chaloo Keh Qabroun Pay Khun Roonay Say
Apni Ankhain Hee PhootTee Hain

[/QUOTE]

sigh. you have got great taste in poetry muddii.

Re: Akhrii Baat…

Bohat khoob Muddii..:k:

Re: Akhrii Baat.............

nice

Re: Akhrii Baat.............


yep saddening beauty........n thank for liking:)

Re: Akhrii Baat.............


Thank u :)

Re: Akhrii Baat…

Thank u:)

Re: Akhrii Baat…

Hmmmmmm Thank u for the appreciation:hooray:

Re: Akhrii Baat…

Thank u Aryaan:)

Re: Akhrii Baat.............


Thank u:)

Re: Akhrii Baat.............

simply amazing Muddiji