Aakhrii Baar Millo Aisay Key Jultay Howay Dil
Rakh Hoo Jain Koi Oor Taqaza Na Karain
Chak-e-Wada Na Silay Zakham-e-Tamana Na Khilay
Sans Humwaar Rahay Shama Key Loo Tak Na Hilay
Baatain Buss Itnee Key Lumhay Unhain Aa Kar Gin Jain
Ankh Uthaiy Koi Umeed Too Ankahin Chin Jaain
Uss Molaqat Ka Abh Koi Wahum Nahee
Jiss Say Ik Oor Molaqat Key Soorat Niklay
Abh Nahee Jana Janoo Ka Na Hikayat Ka Waqt
Abh Na Tajdeed-e-Wafa Ka Na Shikayat Ka Waqt
Lut Gaiee Shaher-e-Hawadis Main Muta-e-Alfaz
Abh Joo Kehna Hai Too Kaisay Koi Noha Kehyay
Aj Tak Tum Say Rag-e-Jaan Kay Kaiee Rishtay Thay
Kall Say Joo Hoo Ga Ussay Kun Sa Rishta Kehyay
Phir Na Daikhain Gay Aariz-o-Rukhsar Millo
Matmi Hai Damun-e-Rukhsat, Dar-o-Dewar Millo
Phir Na Hum Hun Gay Na Iqrar Na Inkar Millo
Akhrii Baar Millo, Akhri Baar Millo
Meiji