AakHri baar milOo aesay ke jaltay huwe diL
Raakh ho jaaiN, koi aur taQaza na karaiN
chaak-e-wa‘da na silay, zakhm-e-tammana na khilay
saans humwaar rahey, sham'a ki Lo tak na hilay
baateiN bass itni ke Lamhay inheiN aa kar gin jaaiN
aankh uthaye koi umeed to aankheiN chin jaaiN
iss mulaqat ka iss bar koi weham nahiN
jiss sey ek aur mulaqat ki surat niklay
ab na hejan-o-junooN ka, na hikayaat ka waqt
ab na tajdeed e wafa ka, na shikayaat ka waqt
lut gayi shehr-e-hawadas mein mata‘aey alfaaz
ab jo kehna hai to kaisay koi noha kahay
aaj tak tum se rag-e-jaaN ke kai rishtay thay
kal se jo ho ga issay kaun sa rishta kehay
phir na dehkaiN gay kabhi aariz-o-rukhsaar, milo
maatmi heiN dam-e-rukhsat dar-o-deewar, milo
phir na hum hoN gay, na iQrar, na inKaar, milo
Aakhri baar milo!!