Akbar Badshah announced ke merey darbaar mein jitnay bhi baywakoof hain un ki list tayaar ki jai. Beerbal ne jo list tayaar ki us mein sab se upper Akbar Badshah likha tha.
Akbar badshah ne Beerbal se kaha “tum ne mera naam list mein kion likha hai?”
Beerbal replied ke “aap ne eik ajnabi shaks ko 10 hazar sonay ki ashrafiyaan day deen ke apnay mulk se ghoray bhej dena… ye baywakoofi huwe”
Akbar ne kaha “mein logoon ko dekh ker pehchaan leta hun, wo ghoray zaroor bhejay ga”
Beerbal ne jawab dia “Agar us ne ghoray bhej diye tu aap ka naam kaat ker us ka naam likh doon ga”
![]()