kis qadar seedha, sehal, saaf hay rasta daikho
na kisi shaakh ka saaya hay, na deevaar ki taik
na kisi aankh ki aahat, na kisi chehray ka shor
door takk koee nahi, koee nahi, koee nahi
chand qadmoN kay nishan, haan, kabhi miltay hain kahin
saath chaltay hain jo kuch door faqat chand qadam
aur phir toot kay gir jaatay hain yeh kehtay huway
“apni tanhaai liyay aap chalo, tanha, akailay
saath aaey jo yahaan koi nahee, koi nahee”
[QUOTE]
*Originally posted by hayaa: *
kis qadar seedha, sehal, saaf hay rasta daikho
na kisi shaakh ka saaya hay, na deevaar ki taik
na kisi aankh ki aahat, na kisi chehray ka shor
door takk koee nahi, koee nahi, koee nahi
chand qadmoN kay nishan, haan, kabhi miltay hain kahin
saath chaltay hain jo kuch door faqat chand qadam
aur phir toot kay gir jaatay hain yeh kehtay huway
"apni tanhaai liyay aap chalo, tanha, akailay
saath aaey jo yahaan koi nahee, koi nahee"