Aik baat kahoon Agar suntey ho
Tum Mujh ko achey lagtey ho
Kuch chanchal say kuch chup chup say
kuch pagal pagal lagtey ho
Hain chahney waaley aur buhaat
Par tum mein hai aik baat buhut…
Tum apney apney lagtey ho
Aik baat kahoon Agar suntey ho
Tum Mujh ko achey lagtey ho
Yeh baat baat pay kho jaana
kuch kehtey kehtey ruk jaana
Yeh kiss uljhan mein rehtey ho..
Kiya baat hai hum say keh daalo
Aik baat kahoon Agar suntey ho
Tum Mujh ko achey lagtey ho