chaand sooraj or sitaaray ajnabi
ek musafir, sab nazaaray ajnabi
mojza hai gardish-e-haalaat ka
shehr apna, loag saaray ajnabi
ajnabiyat ka ta’alluq khoob hai
hum tumharay, tum hamaray ajnabi
jaan k dushman hamaray aashna
aashna saray k saaray ajnabi
zindagi ki talkhiyan hen hum’nasheeN
phool khushbu, rang saaray ajnabi