Kash hum tum bhi ajnabi hotay
Jis trha or log hotay hain
Bay taluk say bay taruf say
Kash hum tum bhi ajnabi hotay
Bay qarari na bay kali hoti
Na mukamal na zindgi hoti
Youn na hoteen azeeyatain dil main
Zindgi bhi na hoti mushkil main
Aansoo’n say na dosti kertay
Apnay dil say na dushmani kertay
Youn na lamhay satatay judai kay
Dosroon ki trha hum bhi khush rehtay
Kash hum tum bhi ajnabi hotay
AQ poet ka naam as usual mujhay nahi maloom ap k sawal say pehlay hi us ka jawab