Aik Buhat Khoobsurat Si Nazm,
Raat Khamosh Thee Gungunatay Rahay
Ajnabi Sheher Ke Ajnabi Rastay
Ajnabi Tha Main Apna Banatay Rahay
Ajnabi Sheher Ke Ajnabi Rastay
Koi Saathi Koi Ham Safer Na Mila
Sheher Anjaan Tha Uss Ka Ghar Na Mila
Paas Aatay Rahay Duur Jatay Rahay
Ajnabi Sheher Ke Ajnabi Rastay
Sooni Aankhon Main Kaantay Khataktay Rahay
Dard Seenay Main Kese Bhataktay Rahay
Raat Bhar Teri Baatain Sunatay Rahay
Ajnabi Sheher Ke Ajnabi Rastay
Uss Ki Saanson Ki Garmi Fiza-On Main Thee
Uss Ki Zulfon Ki Khushbu Hawa-On Main Thee
Hum Bhi Sheron Main Rashid Sajatay Rahay
Ajnabi Sheher Ke Ajnabi Rastay
(Mumtaaz Rashid)
Umeed Hai Pasand Aye Gi..
Regards,