ajj kay din

maini soap say sirf ik baar moun dhoaya

or kahanay main sirf ik rotee khayee

or sirf ik dafa kitchen ka kam kia

or ik dafa ghar say bahir niklee

last but not least

sirf ik thread start kia

app ko kia lagta hay yeh sub itafqat kis bat ka ishara hain ?

yeh bohat sanjeeda thread hay plz ghor fikar say jawab dain Bongiyan marnay ki zarorat nahi * snooty *

Re: ajj kay din

lagta hay aaj aap ke tabiyat theak nahi thi :stuck_out_tongue:
ya phir aap 10 baar ko ik dafa count karti hain :hoonh:

Re: ajj kay din


Yeh ittefaaqat iss am'r kee taraf isharaa hai kaY aap kee aik hee shaadi ho gee :-P

Re: ajj kay din

problem..don,t worry..it,s ok

Re: ajj kay din

mere ab tuk ki zindge main aisa din nahi aya kay maini 10 bar kabhi soap say moun dhoya ho haan yeh mumkin hay ik dafa bhi na dhoya ho : P

owwwwwwww bareeee door ki koree laye ap acha yeh batain mere Un ka nam ka pehla alpha bet kia ho ga …sun 2010 main shadi ho gee ya 6001 main ..apnoo main ho ge ya gheroon main

kisi nay koi bandish to nahi karaye hoyee : P

ok thanx : D

Re: ajj kay din

wah wah kya baat hai aap ki

Re: ajj kay din

^ app ka nick to hakoomat kay khilaf chlaye hoye kisi muhimka nara lagta hay : P

Re: ajj kay din

hum ek baar jeetey hain, ek baar martey hian

payar bhi ek baar hi hota hai , our shaadi bhi ek baar

Tum batana bhool gaye ke, Fair & Lovely bhi ek baar hi lagayee thee :Pretty:

Re: ajj kay din

aap nay kai dafa bohat say 'aik' zaya kiay...
choonkay 'aik' yahan kafi common hay, iss liay iss ay bracket say bahar common nikaal lain aur mulk o qom kay zaray-mubaadla bachain...

shukria...ba-hukam aissistant to Khair-Andesh...

Re: ajj kay din

code_red^ fair lovely ? mera avatar dekh ker app ko lagta hay fair lovely mereay kalay pan per koi assar daal saktee hay ?

Re: ajj kay din

mujhay maths . say bachpan say chir hay mujhay koi asan tareeqa say samjhain

Re: ajj kay din

math kahan say tapka ???
common aqal ki baat thi waisay wo :-p

itni purani baat kaisay yaad hay ? bachpan ko guzray ro golden jublie nai howi ? :s

Re: ajj kay din

dekheye mohtarma

Payasa hi quowain ke paas ata hai :k:

Waisay tu aap ki SeYaahi dekh kar tu …

dil karta hai,
zindagi ke korey kaghaz per
is seyahi se apney dast-e-khat kardoon
takey sanad rahey
our bawaqt-e-zaroorat kaam aye

Re: ajj kay din


aap sirf dast kar dau, wohi sanad kaafi ho gee iss gluugeer mas'alaY par

dast-e-khat:o... saari urdu kee maiyyat nikaal dee...

Re: ajj kay din

Ama barkhurdaar !

Kia be-par ki haank rahey ho :rolleyes:

Tumhari tabeyat main jangloosiyat ka ansar numaya hota ja raha hai

main tu kehta hoon ! Shaadi karlo. Khuda ne chaha tu zindagi sanwar jaigi …

our agar khudanakhwasta aisa na hosaka tu

Shairi tu theek ho hi jaigi :biggthumb

Re: ajj kay din

^
Verbal Diarrhea (Dast??)...

Re: ajj kay din

bhye main us ko math ka woh wala question samjhe jis main barcket kay andar kay numbers ko bahir nikaltay hain ..khair yaad to mujhay kafee kuch hay bus khadsha hay app ka blood presure na low ho jayee : P

Code red> muhtram mere syahe koi soyee main dryft shuda GAs nahi hay jo her koi apnay pen main bher lay * snooty *

Anwaar qureshi > yeh jo app ko post ignore kernay ki baymaree hay na yeh koi qabl-e-fakher bat nahy hay * naraz *

Re: ajj kay din

Zindagi bhi aik hee dafa milti hay so issay jitni farmaanbardaari say guzaro gee itni hee kaamyaab raho gee *Good Wishes *

Re: ajj kay din

^how u know ajj mujhay ammi say ik dafa daant bhi peree hay : S

Re: ajj kay din


Zindagi ki talakh haqeeqatain jheeltay jheeltay ab itna andaza tou ho hee jaata hay kah kiya hova hay aur kiya honay wala hay :-)