Woh muhabat ko prastish ka maqam daita tha
Aur guzrey qisson kau ibadat ka darja samaghta tha
Kehta tha muhabat main koi gharz pausheeda naheen hotti
Muhabat tau baigharz aur lafani hotti hey
Kuch ajeeb falsafa muhabat mainn us ka tha kay
Woh mairi muhabat ka talib bhi tha
Aur main ussay matloob bhi na thi
Kehta tha key main us ki rooh main jazb hoon aisey
Key mujh ko pannay ki us kau hasrat bhi naheen
Ajeeb shakhs tha kuch ajeeb si us ki kahani thi
Yeh doar ab aisi muhabatoan ka naheen raha
Millan key baghair muhabatoan ka kia tassawar hey
Deed key baghair chahatoan ka kia rang hey
Yeh doar tau faqt aghraz pey mabni hey
Meri muhabat bhi sirf char din ki kahani thi
Koi garri aik hee station pey hamaisha naheen rukti
Waqt key sath khialat badaltey jatey hain
Muhabat baqqi rehti hey mehboob badaltey jatey hain
Main ney chaha key khialat us key badal daloon aur
Muhabat ki haqeeqi tasweer dikha doon us ko
Wauh muhabat ka pujari tha main ney
Us kau tanhai ki saza dey dalli !
Mujhey yaqeen hey woh sota to hau ga magar
Neend us ki ankhoan mein na utarti ho gee
Mehfil main wauh muskarata to hau ga magar
Us tabassum men ik tees see uthti ho gee
Ankh meen aansoo to nazar na atey hoan gey
Palkoon taley ik barish zarror hotti ho gee
Meri yaad to us ki khoon ki gardish ki saath thi
Dil dharakta to hoa ga magar ik aah bhi nikalti hau gee
Kion sochti hoon yeh sab kuch main
Jo taaluq tha woh to main ney toar dia
Woh zinda rahey na rahey mujh is sey kia
Us ki saans rukey ya chaley mujhey kia laina
Mairey liey to faqt yehi kaafi hey key
Main aik dunia daar larki aur
Wauh kissi dosri dunia ka bassi tha