ajeeb shakhs tha kaisa mizaj rakhta tha
sath reh kar bhi ikhtalaaf rakhta tha
main kyun na daad dun us ke fun ki
merey har sawal ka pehley hi se jawab rakhta tha
woh to roshniyun ka baasi tha magar
meri andheri nagri ka barra khayal rakhta tha
muhabbat to thi usey kisi aur se shayad
hum se to yun hi hansi mazaq rakhta tha