aik rasta ajeeb lagta hai
jis pay chalna ajeeb lagta hai
jo zamaana hansi khushi guzra
ab wo kitna ajeeb lagta hai
is liye raat bhar mein chalta hon
apna saaya ajeeb lagta hai
sabz patton ki bail par tanha
zard patta ajeeb lagta hai
jo nahi ho saka kabhi apna
usko khona ajeeb lagta hai
wo jo dilchasp tha kabhi pehlay
wohi qissa ajeeb lagta hai
ab to aadat c ho gaee gham ki
pehlay pehlay ajeeb lagta hai
aey mere dil tu aik baat bata
tujko kya kya ajeeb lagta hai?
murda ruuhon k darmeyaN FAIZAAN
zinda rehna ajeeb lagta hai
muncho
3
Re: ~ AjeeB LagTa Hai ~
jo nahi ho saka kabhi apna
usko khona ajeeb lagta hai
waah ye bhee kia kaifiyut hay :(
Re: ~ AjeeB LagTa Hai ~
Nice sharing aabla _paa Jee :~)
Re: ~ AjeeB LagTa Hai ~
zinda rehna ajeeb lagta hai … hasb-e-haal :hinna:
Re: ~ AjeeB LagTa Hai ~
shah jee waisay is peom mein or b bhot c kefiyaat hein.
kher… 
aik aadat hai jiyay jaana bhi 
Re: ~ AjeeB LagTa Hai ~
www.. thts nice.. very sweet.!!!!
Re: ~ AjeeB LagTa Hai ~
Lovly Nice Sharing Superb Ablaa Paa
Re: ~ AjeeB LagTa Hai ~
Lovly Nice Sharing Superb Ablaa Paa
thanku thanku :D