kab rakho gay tum marham
kab aao gay
kab dhuljai ga gham kay yeah ghubar
itni dair main na aana
kay maskh ho jay
meray cheray ka har naqsh
toot jain sari
kirchiyoon ki kirchiyaan
thak jaoon itna kay
teri rah bhi na dekh sakoon
hojai na itna andheraa
kay tujhay pehchan hi na sakoon
aa jana
abhi to waqt hay
ik pal ka
us ik pal main samoon dena
meri khushiyan
meray khaab
mera apna aap
kay bohat bikhar chuka hoon
to phir!
aajana