Ajab duniya hai na’shayar yahan par sar uthate hain…
Jo shayar hain wo mehfil me dari chadar uthate hain…
Tumhare shaher me mayyat ko sab kandha nahi dete…
Hamare gaaon me chhappar bhi sab mil kar uthate hain…
Inhe firqa-parasti mat sikha dena ke ye bachhe…
Zami se choom kar titli ke toote par uthate hain…
Samandar ke safar me waapsi ka kya bharosa hai…
Khuda hafiz to ae sahil ke hum langar uthate hain…
Buri soorat ki janib dekhne ki had bhi hoti hai…
**Sambhalna aaina khaano ke hum patthar uthate hain… **
By Munawar Rana