Aiy Shama-e-Koay Jaana
Hai Taiz Hawa Mana
Loo apni Bucha Rakhna, Rastoon Pay Nigah Rakhna
Aisee He Kisee Shub Main
Aaiy Ga Yahan Koi Kuch Zakham Dikhanay Koo
Ik Toota Howa Wada Mitti Say Uthanay Koo
Pairoon Par Lahoo Uss Kay
Ankhoon Main Dhuwaan Hoo Ga
Chahray Key Dararoon Main
Beetay Howay Barsoon Ka
Aik Aik Nishaan Hoo Ga
Boolay Ga Na Kuch Laikin Faryaad Kunaan Hoo Ga
Aiy Shama-e-Koay Jaana
Woh Khakh Basar Rahi Woh Sookhta Parwana
Jub Aiy Yahan Uss Koo Mayoos Na Lootana
Hoo Taiz Hawa Kitnee Loo Apni Bucha Rakhna
Rastoon Pay Nigah Rakhna, Rahi Ka Pata Rakhna
Iss Bhaid Bharii Chup Main Ik Phool Nay Khilna Hai
Uss Nay Inhee Galiyoon Main Ik Shakhas Say Milna Hai