Aitraaf…
Ab mere paas tum aai ho to kya aai ho
Mein ne maana keh, tum ek paikar-e-raanai ho
chaman-e-dehar mein, rooh-e-chaman aarai ho
talat-e-mehar ho, firdos ki barnai ho
bint-e-mehtab ho, gardun se utar aai ho
mujh se milne mein ab andeshai ruswai hai
main ne khud apne kiye ki ye sazaa paai hai.
Un dino mujh pe qayamat ka junun taari tha
sar pe sarshari-o-ishrat ka junun taari tha
meh paaron se mohabbat ka junun taari tha
shehar yaaron se raqabat ka junun taari tha
bistar-e-makhmal-o-sanjaab thi duniya meri
ek rangin-o-haseen khawab thi duniya meri
Kya sunogi meri majrooh jawani ki pukar
meri faryad-e-zigar doz, mera naal-e-zaar
shiddat-e-karb mein doobi meri guftaar
keh mein khud apne mazaq-e-tarab aagen ka shikar
woh gudaz-e-dil-e-maghmoom kahan se laaun
ab main woh jazbai maasoom kahan se laaun
ab mere paas....