**Itnay bhi Khamoosh Raha Na Karo
Gham-e-Judai mein yoon Kia Na Karo
Khuwab hotay hayn dekhnay key liye
Un mein jaa ker magar raha na karo
Kuch na hoga Gila bhi Karnay sey
Zaalimon sey Gila kia na Karo
Inn sey Niklain Hikayatein Shayad
Hurf Likh ker mita dya na kero
Apnay rutbay ka kuch lihaaz Munir
Yaar Sab ko Bana Lia na karo**