*Ya mujhe afsar e shaha na banaya hota
Ya mera taaj gadayaa na banaya hota
Apna dewana mujhe banaya hota to ne
Kion khard mand banaya na banaya hota
Khaksari k lie gar che banaya tha mujhe
Kash k khak e dar e jana na banaya hota
Nash e ishq ka gar zarf diya tha mujh ko
Umar ka tang na pemana banaya hota
Shula’a e husn chaman mian na dikhaya us ne
Warna bulbul ko bhi parwana banya hota
Roz e ma’amoora dunya main kharabi he zafar
Aisi basti ko to werana banaya hota
Restored attachments:
