log youN daikh kar hanss daitai hain
tuu mujhe bhool gayaa ho jaise
ishq ko shirk ke hudd tak na bardha
youN na mil hamasai Khudaa ho jaise
moot bhe aiy to is naaz kai saath
mujhape ehasaan kiyaa ho jaise
aise anjaan banai baithe ho
tum ko kuchh bhe na pataa ho jaise
hichakiyaan raat ko aate hee raheen
tuu ne phir yaad kiyaa ho jaise
zindage beet rahe hai “daanish”
ek baijurm sazaa ho jaise
**