** Tum rooth jao mujhsey,
Aisaa kabhi na kerna
Mein aik nazar ko tarsoon,
Aisaa kabhi na kerna
Main pooch pooch haroon
so so sawal ker k,
Tum kuch jawab na do,
Aisaa kabhi na kerna
Mujhsey hi mil k hasna,
Mujhsey hi mil k roona,
Mujhsey bichar k jee lo
Aisaa kabhi na kerna,
Tum chand bun k rehna,
Mein daikhta rahoon ga
Kisi rooz tum na niklo
Aisaa kabhi na kerna
Tum chalay jao jab bhi
tu dekhoon tumhara rasta,
Tum lot k nai aao
Aisaa kabhi na kerna....**