Aisa nahi kah hum ko mohabbat nahi mili
Jaisi chahtay thay hum ko ulfat nahi mili
milnay ko zindagi main kayee hamsafar milay
par un ki tabiyat sey tabiyat nahi mili
chehron main doosron kay tumhain dhoondtay rahay
soorat nahi mili kahin seerat nahi mili
bohat der sey aaya tu meray paas tou kya kahoon
alfaa dhoondnay ki bhi mohlat nahi mili
tujh ko gila raha kah tawajja nahi di tujay
lekin humain khud apni mohabbat na mili
har shaks zindagi main bohat der sey mila
koi bhi cheez waqt e zaroorat nahi mili
hum ko teri aadat achi lagi fayaz
afsos kah tujh sey meri aadat nahi mili
*