Tum rooth jao mujhsay
aisa kabhi na karna
main ek nazar ko tarsoon
aisa kabhi na karna
main pooch pooch haarooN
so sawal karkay
Tum kuch jawab na do
aisa kabhi na karna
Mujh se hi mil kay hasna
mujh sey hi mil kar rona
Mujh sey bichar kay jee lo,
aisa kabhi na karna
Tum chaand ban kar rahna
Main Dekhta rahoon har pal
kisi roz tum na niklo
aisa kabhi na karna
Tum chalay jao jab bhi
Tou dekhoon tumhara raasta
Tum laut kay na aao
aisa kabhi na karna