Aisa ho sakta hai na?
k may nay jaan lia hoo,
tujhay teri zaat ki gehrai tak,
teray mehal say lay kar tanhai tak,
Aisa ho sakta hai na?
k may nay bohat karab saha hoo,
teray sitam say lay kar, teri maseehaye tak,
or aisa bhi tu ho sakta hai na?
k tujhay koi dukh na hoo,
meray milnay say lay kar, meri judai tak,
haan yakeen karoo,
aisa ho sakta hai shayad,
k umar bhar k liyay kafi hoo,
yeh dukh k may nay safar kia,
apni zaat say lay kar,
teri zaat ki rasayee tak,
Aisa ho sakta hai na?
k may nay jaan lia hoo,
tujhay teri zaat ki gehrai tak................................
Re: ~~~~ Aisa ho sakta hai na? ~~~~~
very nice :)
Re: ~~~~ Aisa ho sakta hai na? ~~~~~
Great sharing … cutenice62 …:k:
Re: ~~~~ Aisa ho sakta hai na? ~~~~~
thanks all....aap ki hosla afazai he mujhay mazeed post karnay pay uksaati hain.......
Re: ~~~~ Aisa ho sakta hai na? ~~~~~
:k: