Musaafaton ka ye dukh lazawaal aisa hai,
Na kut sakay ga safar ab khayal aisa hai
Isi koshish main apni zaat tak mita daali,
Kia tujhay dil se bhulana muhaal aisa hai?
Dar-o- deevaar per chhaai hui hai veerani,
Teri judaai main iss ghar ka haal aisa hai
Shiddat-e-karb se patthraa gaae hain hum shayad
Tere jaanay ka iss dil ko malaal aisa hai
Tha gu’nahgaar koi aur saza sunaai kisay,
Hamaray daur k munsif ka haal aisa hai
Na chahtay huay bhi dil isi main uljha hai,
Kisi ki reshmi zulfon ka jaal aisa hai
Bichhar chuka hai magar roz hans k milta hai,
Wo bewafaai main bhi bakamaal aisa hai
Main apni zaat ki talaash main hoon barson se,
Jawaab jis ka nahi ye sawaal aisa hai