**
Ainak
ek roz ham se kehne lagii ek gul_badan
ainak se baa.Ndh rakhii hai kyo.n aap ne rasan
miltaa hai kyaa isii se ye andaaz-e-fikr-o-fan
ham ne kahaa ki aisaa nahii.n hai janaab-e-man
baiThe jahaa.N hasiin hon ek bazm-e-aam mein
rakhate hain ham nigaah ko apnii lagaam mein
Sagar Khaiyyami
**