aina dostoon ko dekhanay nahi diya

Unko tasavoorat me aane nahi diya
Halat ne ye lutf uthane nahi diya

Gam mere sath sath bahut door tak gaye
Sikwa magar Zaban pe aane nahi diya

Dastaar gir gai to gire sar to bach gaya
kuch behiso ko zarf khuda ne nahi diya

Tha kitna dil shikan teri yadoon ka marhala
Aankhon ko phir bhi ashk bahane nahi diya

**Majbooriyon ne pao mein zanjeer daal dee **
Hamne khusi se apko jane nahi diya

Mai khud hi apni rah ka pathar bana raha
Aisa nahi sath dua ne nahi diya

‘shahid’ meri saada dilo ne khabhi mughe
**Aena doosto ko dikhane nahi diya. **

Re: aina dostoon ko dekhanay nahi diya

good one Ds :k: long tym no c ! Welcome back !

Re: aina dostoon ko dekhanay nahi diya

v.nice

nice1 :k:

Re: aina dostoon ko dekhanay nahi diya

niceeeeee :k:

Re: aina dostoon ko dekhanay nahi diya

Mai khud hi apni rah ka pathar bana raha
Aisa nahi sath dua ne nahi diya

waah!

Re: aina dostoon ko dekhanay nahi diya

good to see u back Deadu!