Bohat mushkil zamanoon mein bhi ham ahle muhabbat – wafa par eshq ki bunyaad rakhna chahatay hain
Aik tow khawb
Aik tow khawb leyay phirtay ho galyoon galyoon – aur phir takraar bhi kartay ho kharidar kay saath
Mai’n gaya tha ous gali mein’n……..
Mai’n gaya tha ous gali mein’n……..
mai’n gaya tha ous gali mei’n kaee khawhishai’n pehan kar
woh jo thee’n bohat shanaasa
unhee’n khiRkeyoo’n say ab kay
kesi rukh ki roshni say na charagh koie larza
na koie sitara chamka, na hi phool koie aaya
dil-e-muntazir ki janib
na uThaee koie chilman kesi dst-e-pur hina nay
na saba ki dastakoo’n say koie parda sarsaraya
kesi khawb say ulajh kar na tow chooReyaa’n hi chankee’n
kesi aankh mei’n simaT kar na hi chaand muskaraya
mai’n gaya tha ous gali mei’n kaee khawhishai’n pehan kar
Aik baat kahon.........
Aik baat kahon
Aik baat kahon ger sunte ho
tum mujh ko ache lagte ho
kuch chanchal se ...kuch chup chup se
kuch pagal pagal lagte ho
maire chahne vale aur bohat
magar tum main hai aik baat bohat
tum apne apne lagte ho
aik baat kahon gar sunte ho
yeh baat baat pe kho jana
jo kehna hai voh keh dalo
yeh kis uljhan main lagte ho
aik baat kahon ger sunte ho
tum mujh ko ache lagte ho
khoob, thanks for sharing
nice .. thanks for sharing
A Beautiful Sharing
zikr-e-shab-e-firaq say wehshat usay bhi thi
mairee tarha kesi say muhabbat usay bhi thi
mujh ko bhi shauq tha naaee chehroo’n ki deed ka
rasta badl kay chalnay ki aadat usay bhi thi
us raat dair tak who raha mehav-e-guftagoo
masroof mei’n bhi kam tha faraghat usay bhi thi
mujh say bicchaR kay shehar mei’n ghul mil gaya who shaks
hala’nka shehr bhar say adawat usay bhi thi
woh mujh say bhaR kay zabt ka aadee tha jee gaya
warna har aik saans qayamat usay bhi thi
suntan tha who bhi sab say puranee kahaneyaa’n
shayad rifaqatoo’n ki zaroorat usay bhi thi
tanha hua safar mei’n tou mujh par khula yeh bhaid
saaee say piyaar dhoop say nafrat usay bhi thi
Mohsin, mai’n us say keh na saka yoo’n bhi hal-e-dil
darpaish aik taza museebat usay bhi thi
Re: A Beautiful Sharing
[QUOTE]
*Originally posted by Man de Mouj: *
C:\Miscellaneous\call_me.jpg
[/QUOTE]
aap ki winner khobsorati sharma gaii hay
hummm Faraz .. ghazal bahana karon (ab bata nahi konsi ghazal GKK keh Aadhoori)
Hum ko uss shehir main tameer ka soda hay jahan
Log maymaar ko chun dayte hain deewar ke saat
khoob acha kartay hain aap .....
Ustaad Arif bhi aisay hi kartay thay
me pulls Azad's ears
very nice..:)
Re: Aik baat kahon…
Wahhh :k:
Bohat khoob
Re: Muskil Zamaanoon Main
:k: lovely
Wah...
Re: A Beautiful Sharing
One of my fav :k:
Lovely :)
Wah :k:
[QUOTE]
*Originally posted by Azad: *
hummm Faraz .. ghazal bahana karon (ab bata nahi konsi ghazal GKK keh Aadhoori)
Hum ko uss shehir main tameer ka soda hay jahan
Log maymaar ko chun dayte hain deewar ke saat
[/QUOTE]
its beautiful mouj ji ........and azad, aadhoori becharee nae aap ka kya begara hai???? khudaya woh tu aap kee wajah sae forum choor gaee ab tu usae bakhish dain................ ya phir kuch aesae aap kae aasab par chaee hai kae har thread main aap uska zikar kartae hain ????????
bhoot alla