Aik Sher Aik Mehfil III

Asalam U Alaikum !
How are you all hope fine.M fine too ALHAMDULILAH !

  • So aaj aik sher aik mehfil mein jo sher hai woh khwabon aur tabeeron aur khwab dekhne chaiye ya nahi kya khwab dhoka daitay hain khwaabon ko aksar sinf e nazuk k sath jora jata hai kya larkay bhi khwab dekhtay hain.*
    **
    **Khwaab To Khwaab Hain Mohtaaj Hain Taabeeron Ke
    Apni Aankhon Ko Na Khwaabon K Hawaaley Karna…!!! **

bEing LoN3lY !!! sID !!!

Re: Aik Sher Aik Mehfil III

khaab dekhna achee baat hai magar khaaboon mein rahna isnt that good!

khaab hotay hain dekhnay k liay
inn mein ja kar magar rahaa na karo

Re: Aik Sher Aik Mehfil III

Mein to kehta hon jurm hai khwaab dekhna un aankhon ko jo khwabon ko tabeer tak nahi laa saktii'n !
Khwaab hamesha dukh daitay hain !

Re: Aik Sher Aik Mehfil III

Saza Yeh Di Keh Aankhon Se Cheen Li Neendein
Qusoor Yeh Tha Keh, Jeenay K Sapnay Dekhay

Re: Aik Sher Aik Mehfil III

Khwaab e Pareshan

Kiaa museebat hai khuli aankh to ronaa aaye
Aur jhapkey to wahi khwab-e-pareshan dekhoon

Totally disagree wid k khwaab dekhnay chaiye n woh ghisa pita dailouge "khwaab wahi dekhtay hain jo unki tabeer de saktay hain"

Re: Aik Sher Aik Mehfil III

raiza raiza ho gay jo saray
aisay sapnon ki baat karta hon
tum ko ghairon nay dukh diay ho gay
mein tu apnon ki baat karta hon

Re: Aik Sher Aik Mehfil III

Kia kehna chaiye mujhe !!!

Re: Aik Sher Aik Mehfil III

ab to is tarhaa mere ankhoon main khaab aatay hain
jis tarhaa aainay cheh'roon ko taras jatay hain

Re: Aik Sher Aik Mehfil III

aap k shair aap ki soch k mukhalif chal rahe hain aaisa kion ?

Hosh aayaa to sabhi khwaab thay rezah rezah
Jaisey utrey huye awraaq pareshaan jaanaaN

Re: Aik Sher Aik Mehfil III

:)......................wel aisaa hai ghum aur khushyaan sath sath he chaltay hain..........khaab khushyaan bhi daytay hain aur kabhee ghum bhi.there is a balance na

Re: Aik Sher Aik Mehfil III

dhoop chaaon ka khail to sada se hai aur rahe ga ta waqt k yeh duniya apnay anjaam tak nahi pohachti !
aur khwaab sukh daitay hain sirf waqti toor pe insaan bhool jata hai sab kho jaata hai un mei laikin jab aankh khulti hai to

*hastee ke fasaane Khwaab hue, daryaa.e.junooN paayaab hue
aaNsoo aksar, haNsnaa kam kam! kuChh keh na sake kuChh bhool gaye!
*

Re: Aik Sher Aik Mehfil III

very nice…:k:

Re: Aik Sher Aik Mehfil III

main soch rahi hoon k kya kahoon per khwaab dekhney achi baat hai per phir uski tabeer k leye koshish b karni chaheye

Re: Aik Sher Aik Mehfil III

khaab agar suchay ho jain tu zindage badal jatee hai...............magar har mushkil k baad he aasaani miltee hai...................khaab ki taabeer milnay mein kabhi der bhi lag jatee hai magar ummed ka daman nai chorna chhahiay

Re: Aik Sher Aik Mehfil III

ager pata hota tabeer aisi izeat de gii
hum tou khuwab dekhna he chorr detey<!-- google_ad_section_end -->

Re: Aik Sher Aik Mehfil III

na na khaab dekhna nahin chorna chahiay...................har situation ko face karna chahiay.....
bazzi palat bhi tu saktee hai na
"just wait n watch "walee policy par amal karain janab...........kamyaab ho gay inshallah!

Re: Aik Sher Aik Mehfil III

Adab ! :)
Khwab. They're very important. Khwab nahi hongay to tabeer kaisay hogi. Khwab hi to hotay hein jinhen tabeer kiya jaata hai

Khwaab aankhon mein utaaro to sahi
DiL k halaat sanwaaro to sahi
is qadar door nahi hai wo bhi
tum dil-o-jaa'n se pukaaro to sahi

Re: Aik Sher Aik Mehfil III

theek kaha app nay aabla paa.................zindage mein tu hameshaa say "kabhi kushi kabhi ghum"..................khaab he zinda rakhtay hain..........aas pay dunyaa qaim hay............meraa tu personal experience hai......umeed ki tehni hamesha haree rakhni chahiay

Re: Aik Sher Aik Mehfil III

Umeed ki tehni and wait n watch wazan hai baat mein par shayar mostly yehi kehtay nazar aatay hain like (pagal aankhon wali larki itnay mehngay khwab na dekho) And

Shikasta manzaron ki kirchiyan aankhon main chubhti hain
Kay deewanon kay khawabon ki kahan tabeer banti hay...

Re: Aik Sher Aik Mehfil III

N shayar to hum aam insaanon k aam jazboon ki tarjumaani kartay hain !