aik shair

Aa jawo gay halat ki zad main jo kisee din
Ho jay ga maloom Khuda hai k nahee hai

wah…:k:

Yeh pyar murawwat, yeh ikhlaas wafadaari
Lafzon ki tijaarat hai, lafzon ki kharidaari…

Beshak… NO Doubt :slight_smile:

Nice one …:flower2:

Thanx GS :)
ek aur sher arz kiya hai...

Hujoom-e-gham meri fitrat badal nahi sakta
Main kya karoon, meri aadat hai muskuraane ki..

janab yeh bhi zara ghaur talab hai..

Khud ko chuntey huwe din saara nikal jaata hai
Phir hawa shaam ki chalti hai, bikhar jaata hoon

Nice Ashaar Aryaan :flower2:

Din Bhar tou maiN dunyaa ke dhandooN maiN khoya raha
Jab deewarooN se dhoop dhali… Tum Yaad aye

Bohat khoob GS ..

Tere liye dhoop mein saaya banoon
Ankhon se teri main roun
Honthon se tere hansoon
Jaisa rakhey tu rahoon..

Baat wo kaheyye jis baat k ho so pehlu
Koi pehlu to ho baat badalnay k leay

aah lovely asshaar :flower1:

Hasratein apne seeney mein jalaain main ne
Jo ab ban gai hain laawa
Tere liye apni zindagi mitaai main ne
Dekho ab kab aata hai bulaawa...

One of my Most Fav..

Dekh Laila Teray majnooN ka Kaleeja kia hay
Khaak maiN mil ke bhi kehta hay ke bigRa kia hay

Re: aik shair

Great ! :k:

abay yaar, kiya yaad dila diya tum nay…:teary2:

Jahan jaaye ga, yeh raushni lutaaye ga
Kisi charaagh ka apna koi makaan nahi

wah g wah yahan tau bahoot khoob shaayri ho rahi hai....

kuch hum bhi contribute karen....

tum chahte ho mai apne laboN ko see looN
tumhari yaad ko apne dil se bhula bhi dooN
mumkin hai mai aisa ker bhi ja'ooN
mager haath mai likhi lakeer tumhare naam ki kaisay mita'ooN