Topic Bhot Acha hai. :k: Im really looking forward. I’ll try 2 contribute, but the problem is same. Jab Muhabbat hi nahi hui kabhi to marahil k baray mein kya keh saktay hein. Anywayz ek sher hai:
kati hai jis k khayaalon mein umr apni MUNIR
maza to jab hai k us shokh ko pata hi na ho
Sumtime dil kehta hai sab kehdo ik ik lafz har woh kaifiyat jo guzri hum par apnay pyar mein kabhi dil dharakta hai k kehdia to alfaaz zayaa na ho jaayen alfaaz k zaaya honay se darta hain insaan!Par kya iss dar se insaan kuch na kahay ya keh de !
ishq ki to baat na he kijiye bohat lambi guftugu shuru ho jaye gi !!!
Ishq ki Kaifiyat to insaan khud apnay ooper taari karta hai !!!Mohabbat k baad ka marhala hai yeh to (thukraaye janay ya bewafai ya khaamosh mohabbat) ishq ki baari aati hai !!
N deadsoul izhaar e mohabbat k marhalon k baray mein hum baat karein ge !!!
Mohabbat to ik na mitnay wala jazba hai kaifiyatein aur shidatein juda juda hain !
mehfil mein rang aya to mei choti si ik tahreer mohabbat pe share karonga !
Izhaar-e-Mohabbat aur uss kaY marhalaY par Anwer Masood kaa qitaa arz hai:
Guzraa hooN iss galli saY tau phir yaa aa gayaa
uss kaa woh iltefaat ajab iltefaat thaa
RaNgeen ho gayaa thaa bahut hee mua’amlaa
pheNkaa jo uss naY phooL, tau gamlaa bhee saath thaa